Facebook Par Apne Saare Dosto Ko Ek Click Me Group Me Kaise Jode. Or How to Add Friends in facebook Group With One Click. Hey Dosto aaj mai aapko btaunga ki aap kis tarah Facebook par apne saare dosto ko ek click me facebook group me jod sakte hai. Facebook group me Aap Apne Dosto ke sath Group chat kar sakte hai or koi bhi discussion kar sakte hai. Facebook group me koi bhi bina permission ke join nahi kar sakta hai. Yah facebook Page se Bilkul Alag hai kyoki facebook page ko to koi bhi like kar sakta hai Lekin facebook group ko public, private ya closed kar sakte hai. Mai aaj aapko Safe Method se Facebook group me apne dosto ko add karna btaunga. Yah method bhut hi Aasan hai.
Facebook par aap apne dosto ko jab group me add karne jate ho tab aapko apne sare Dosto ko ek ek kar ke group me add karna padta hai. Tab aap Yah sochte hai ki agar ek sath hi ya ek click me hi sabhi Friends Group me Add Ho jae To kitna achha ho. Agar aap Aisa soch rhe hai to aap lucky hai kyoki is post me mai aapko btaunga ki aap kis tarah apne sare dosto ko sirf 1 click me facebook group me Add kar sakte hai.
Is Tricks se aapko apne Friends ko ek ek kar add karne ki problem nahi rhegi. Add all facebook Friends in group in 1 click. Is tricks se apne sare dosto ko sirf 1 click me hi facebook group me Add kar paenge.
Related Search :- how to add members in facebook group in one click, add all friends to facebook group chrome, add all friends to facebook group 2018, add all friends to facebook group android, auto add friends to facebook group script, auto invite friends to group, facebook group invite all members, how to add members in facebook group by just one click.
Apne Saare Dosto Ko Ek Click Me Facebook Group Me Kaise Add kare
Agar Aap apne sare dosto ko facebook group me add karna chahte hai to yah steps follow kare.
- Sabse Pahle Aapko Apne Laptop Or computer me Group Invite All Extension Install Karna Pdega. Yah Sirf Chrome Browser me hi Install Hoga. Install Here
2. Iske Baad aap Apne Laptop Ya Computer par facbook ka desktop version open kre.
3. Ab Apne Us Facebook Group Ko Open Kijiye jisme aap apne sare dosto ko add karna chahte hai.
4. Ab aapko Apne Laptop Ke Right Side Par upper ek Icon Dikhai Dega Jaisa ki aap Photo me dekh Rhe hai.
5. Ab aapko is Icon Par click karna hai, Dhyan rahe aapne apna facebook Group Open Kar Rkha ho. Iske Bad Aapko ek popup show hoga jisme aapko apne dosto ko Add Karne Ke Liye Time Limit Dena Hai. Mai aapko time limit me 3 to 5 Seconds dalne ke liye suggest karta hu. Kyoki isse km time limit rkhne par facebook ko shak ho skta hai or wo aapko Group Me apne dosto ko add krne se Block Kar Sakta hai.
5. Time Limit dene ke baad aapko Start Adding Par click karna hai. Ab aapke sare Friends Automatic hi aapke facebook Group me Add hone Lag Jaenge. Mai aapko Suggest Karta Hu ki aap ek din me sirf 500 Friends hi group me add kre iske bad aap ise close kar de. Jab Tak Aapke friends group me add ho aap apna dusra kam kar lijiye.
Note :- Don’t worry yah Method Safe hai mai is method ko khud use karta hu. Lekin Phir Bhi mai aapko suggest krunga ki aap Ise apni own risk par try kre. kyoki ek sath jyada logo ko facebook group me add karne par Aapko Facebook Group me Apne friends ko Add krne se block kiya ja skta hai.
I hope Aapko facebook ki yah Trick pasand aai hogi. or aap ise apne dosto ke sath social media par jarur share krenge.
Hamari Post ki Updates Apne Mobile Par Pane Ke Liye Right Side Bottom Me Bell Icon Par Click Kar Allow Jarur Kre.
1 thought on “Facebook Par Apne Saare Dosto Ko Ek Click Me Group Me Kaise Add Kare”